Tuesday, July 28, 2009

Dream By nimra

Khwabon ki tabeer
 کے لیے یہاں کلک کریں 

A.O.A. Mein Nimrah hun. Jis baat ka mein ap say zikar karnay ja rahi hun ye meray us cousin(ALI) ke hai jis say mein hadd say zyada pyar karti hun aur us say shadi ka irada be rakhti thi.Ali asal mein illegally abroad gay.Wahan par bohat taklefain brdasht ke.Aur akhir aik din agent ka phone aya k Ali fot ho gaya hai.Kafi din k baad body bhijwaai gai.Mein nay jaisay he us body ka chehra dekha to pata nahi kyu mera dil cheekh cheekh k kehnay laga k ye mera ali nahi hai.Shakal to kafi milti julti thi par mera dil kehta hai k wo mera ali nahi tha.Mein nay kuch din pehlay yahe baat apni dosto ko kahi k shaid wo kahin zinda hon aur humain kisi aur ke body bhej di ho.Parso bohat barish hui.Choonkay barish ka waqt qabooliyat ka hota hai so mein nay barish mein kharay ho kar bohat he toot k dua ke k ALLAH koi mojza kar day aur meray ali ko sahi salamat wapis bhej day.To usi raat meri dost nay aik khwab dekhi.K meri wo dost meray ghar ai hoti hai.To aik shakhs meray ghar ata hai.Jo bilkul ali ke tarha hota hai.Mein khwab mein he apni dost ko kehti hun k dekh lo mein nay kaha tha na k ali zinda hai.Ye hai ali.Jo fot hua tha uska to chehra he alag tha.To phir meri ye baat sun k meri dost khwab mein he fot huay huay ali ko imagine karti hai.to usko nazar ata hai k Qabar k andar jo ali hai uska mounh neela aur phoola hua hai(bilkul usi tarha jasay us body ka tha janazay k time).To meri dost khwab mein he sochti hai k han yar iska to chehra wakai alag he hai.Aur wo khwab mein he ye sochnay lag jati hai k agar jo zinda hai wo ali hai to phir mara koun??Isi kashmakash mein uski ankh khul jati hai.Ye khwab us nay suba suba dekhi aur us raat usay bohat sakoon ke neend be ai thi.Meri wo dost darood-e-pak bohat parhti hai aur aksar usay khwabo mein bilkul darusst esharay hotay hen.Men nay apka bohat time waste keya hai ye sari history suna k.Par yakeen karen ye meri zindge aur mot ka mamla hai.So plz ap jald say jald kuch bataa'ain.Mein bohat Bay'chaini say wait kar rahi hun.Allah apko meri is mushkil ko suljhaanay ka ajar-e-azeem day..AMEEN

No comments:

Post a Comment